Friday, June 22, 2018

Teri Ummat Ne Mere Lyrics Noha by Mir Hasan



Teri ummat ne Mere dar ko jalaya Baba haye
Phir wo jalta huwa dar mujhpe giraya Baba (saw)
Rakh ti shole the sehme huwe bacche ya duwa
Mere anghan mein tha ik sham e ghareeba ka sama
Dar hatha kar mujhe Fizza (sa) ne uthaya Baba
Haye lout kar aayi to chehra bhi mera zakhmi tha
Meri Zainab (sa) ko meri peshi ka pehla Noha
Mere balon ki safaidi ne sunaya Baba haye
Haye le chale qaidi bana kar jo Ali (as) ko dushman
Maine chora nahi Haider (as) ki aba ka daman
Taziyanon ne magar mujhse churaya Baba
Haye bet kar parti hon mushkil se Namaze shab bhi
Phir bhi Abbas (as) ki khilqat ki dua bhooli nahi
Jab bhi zakhmi huwe haathon ko uthaya Baba haye
Zakhmi halat mein bhi dehleez se bahar ayi
Aur Ali un wali ullah bacha kar laayi
Ehd jo maine kiya tha wo nabaya Baba
Koun sa dar hai jahan Apki Beti na gayi
Aray baat sunna to khuja yu hui Izzat Meri
Koi darwaze se bahar nahi aya baba
Khud yeh dekha hai tere sheher ki deewaron ne
Aisi Gurbat thi ke hathon mein sitamgaron ne
Rasiya band ke Haider (as) ko piraya Baba
Haye jis jagha App ne ruk ruk ke Ijazat mangi
Wahan ghustakh musalmanon ne baiyyat mangi
Arey koi sholey to koi lakriya laya Baba
Arsh aur farsh pe mohsin huwa khohram bapa
Jis ghari ro ke wilayat ki shaheeda ne kaha
Haye mujhko has has ke zamane ne rulaya Baba..

3 comments: