Friday, June 16, 2017

Paani Masooma s.a Ne Manga To Tamachay Khaye Lyrics


Haye Sakina s.a
Haaye Mazlooma Haye Sakina s.a 
Haye Masooma s.a Haye Sakina s.a
Haye Sakina s.a

Paani Masooma s.a Ne Maanga To Tamachay Khaye
Roke Baba Ko Bulaya To Tamachay Khaye

Chinne Aya Jo Zainab s.a Ki Rida Bacchi Ne 
Shimr l.a Ko Rokhna Chaha To Tamachay Khaye
Paani Masooma s.a Ne Maanga To Tamachay Khaye

Jalte Khaime Se Nikalte Huwe Shehzaadi s.a Ne 
Rasta Pucha Najaf Ka To Tamachay Khaye
Paani Masooma s.a Ne Maanga To Tamachay Khaye

Dhundti Thi Wo Tamacho'n Ki Shikayat Ke Liye 
Mil Gaya Baap Ka Lasha To Tamachay Khaye 
Paani Masooma s.a Ne Maanga To Tamachay Khaye


Ghir Gayi Thi Wo Kahi Chalte Huwe Naake Se
Shimr l.a Jab Dhund Ke Laya To Tamachay Khaye
Paani Masooma s.a Ne Maanga To Tamachay Khaye

Apne Chehre Ko Tamacho'n Se Bachane Ke Liye 
Nanhe Haatho'n Se Chupaya To Tamachay Khaye
Paani Masooma s.a Ne Maanga To Tamachay Khaye

Yeh To Acha Hi Huwa Dil Mein Kaha Karti Thi 
Naa Rahe Jab Mere Baba To Tamachay Khaye
Paani Masooma s.a Ne Maanga To Tamachay Khaye

Khaye Zainab s.a Ne Kayi Durre Bhatije Ke Liye 
Isne Baqir a.s Ko Bachaya To Tamachay Khaye
Paani Masooma s.a Ne Maanga To Tamachay Khaye

Kufao Sham Ke Bazaro'n Mein Chalte Chalte
Thak Ke Bethi Jo Sakina s.a To Tamachay Khaye
Paani Masooma s.a Ne Maanga To Tamachay Khaye

Mir Sajjad Sakina s.a Bhi Hai Zahra s.a Ki Tarha
Ho Gayi Jab Yeh Yateema To Tamachay Khaye
Paani Masooma s.a Ne Maanga To Tamachay Khaye

Friday, June 9, 2017

Akbar ko Fajar Shah ko Asar Roti Hai Lyrics


Akbar a.s ko fajar Shah a.s ko Asar roti hai
Zainab s.a ko magar sham o sahar roti hai

Mila azaan ko muazzan na baad Akbar a.s ke
Lehja Akbar a.s ko Azanon ki satar roti hai
Akbar a.s ko fajar Shah a.s ko Asar roti hai

Kyon na Akbar a.s ki jawani pe jawani roye
Jispe Hasnain a.s ke Nana s.a.w ki khabar roti hai
Akbar a.s ko fajar Shah a.s ko Asar roti hai

Haye wo Sham e Ghareeba ke andhere mein Rubab s.a
Khali aghosh liye taame jigar roti hai
Akbar a.s ko fajar Shah a.s ko Asar roti hai

Shabe Ashoor wo sehme huwe pyaase bacche
Jab Kaza dalati hai unpe Nazar roti hai
Akbar a.s ko fajar Shah a.s ko Asar roti hai

hakim e sham yeh kehta tha Sakina s.a ke liye 
Qaide Tanhai mein dhalo yeh agar roti hai
Akbar a.s ko fajar Shah a.s ko Asar roti hai

Lashe Qasim a.s pe hai khamosh kardhi Binte Hussain a.s
Mujhse kehti hi nahi haan wo magar roti hai
Akbar a.s ko fajar Shah a.s ko Asar roti hai

Wednesday, June 7, 2017

Habib Tum Par Salam e Hussain a.s Lyrics

Habib tum par Salam e Hussain a.s
Chale aao karbobala
Akela huwa hai Hussain a.s
Habib tum par Salam e Hussain a.s
Mere Habib ey Mere dost
Ey Meri aankhon ke chain
Habib Tum Par Salam e Hussain a.s

Rajab mein Madine se nikla tha Main
Muhabbat thi jisse wo ghar chhord kar
Main sehta raha sakhtiya'n ey Habib
Rasool e khuda s.a.w ka sheher chhord kar
Chale aao karbobala
Akela huwa hai Hussain a.s
Habib tum par Salam e Hussain a.s
Mere Habib ey Mere dost
Ey Meri aankhon ke chain
Habib Tum Par Salam e Hussain a.s

Bohot mukhtasar sa hai lashkar Mera
Muqabil to Mere hai laakho adu
Wafadar bhi ho Bahadur bhi ho
Nazar dhundhti hai Tumhe chaar su
Chale aao karbobala
Akela huwa hai Hussain a.s
Habib tum par Salam e Hussain a.s
Mere Habib ey Mere dost
Ey Meri aankhon ke chain
Habib Tum Par Salam e Hussain a.s

Mere khoo'n ke pyase hai yeh ehle shar
Mere qatl ki hai yeh tayyariya'n
laeeno ki teghe bhi hai muntazir
Tumhari zarurat hai mujhko yahan
Chale aao karbobala
Akela huwa hai Hussain a.s
Habib tum par Salam e Hussain a.s
Mere Habib ey Mere dost
Ey Meri aankhon ke chain
Habib Tum Par Salam e Hussain a.s

Abhi Mera maqtal saja bhi nahi
Magar mujhpe roti hai Karbobala
Meri bekasi ka hai jo marsiya
Agar sunna chaho to ey hamnawa
Chale aao karbobala
Akela huwa hai Hussain a.s
Habib tum par Salam e Hussain a.s
Mere Habib ey Mere dost
Ey Meri aankhon ke chain
Habib Tum Par Salam e Hussain a.s

Yeh tehreer padhte hi nikle Habib
To rahwaar roka sare Karbala
Kiya aake Sheh a.s ko salam e wafa
Habib e Hazi se yeh Sheh a.s ne kaha
Acha kiya ey Habib tum yahan aagaye
Mere Habib, ey Mere dost,
Ey Meri aankhon ke chain
Habib Tum Par Salam e Hussain a.s

Yeh dekho masaib yeh dekho sitam
Kahan Mere khaime Kahan alqama
Jo dil par hai guzri sunaounga Main
Jo Tum aa gaye to dilasa mila
Acha kiya ey Habib Tum yahan aagaye

Habib acha kiya Tum Mera khat parh kar
chale aye Tumhare admi tum ko karay ghe jab
zameen mein dafan to Hum ko bhi
zameen mein ek ghosha mil hi jaye gha
Tumhare waste beyyat ka koi khat nahi aya
magar kufa ka hakim Tum se agar beyyat
talab karta faqiyae waqt ho Tum iss
nazakhat ko samajhte ho yaqeenan
beyyate fasiq se Tum inkar kar dete
Habib itna to Tum bhi jante ho waqt
kaisa hai Hum in se pehle pohnche the
Hamara haq zyada tha magar jab un
ki sid dekhi to hum chup chaap hat ghe
zara dekho to kitni door tak peli hain
yeh fojey yeh chand afrad ya ke sirf
Mere khoon ke pyaase hain yahan se
koun zinda bach kar jaye gha Mera
beemar Beta, Aurein ya Meri ek Beti ke
khoon roti Behne magar yeh maar ke
zinda rehe gha rehti duniya tak
Tumhara naam bhi tareekh ke safat
par ho gha isi mitti mein Hum Tum saath soighe
Habib acha kiya Tum Mera khat parh ke chale aye

Yeh mazhar, yeh irfan, yeh matami
Hai tarteeb mein karwaan e aza
Yeh sab hai Habib e Shahe Mashraqain
Sare hashr bolenge Shahe Huda
Habib Tum Par Salam e Hussain a.s