Friday, June 9, 2017

Akbar ko Fajar Shah ko Asar Roti Hai Lyrics


Akbar a.s ko fajar Shah a.s ko Asar roti hai
Zainab s.a ko magar sham o sahar roti hai

Mila azaan ko muazzan na baad Akbar a.s ke
Lehja Akbar a.s ko Azanon ki satar roti hai
Akbar a.s ko fajar Shah a.s ko Asar roti hai

Kyon na Akbar a.s ki jawani pe jawani roye
Jispe Hasnain a.s ke Nana s.a.w ki khabar roti hai
Akbar a.s ko fajar Shah a.s ko Asar roti hai

Haye wo Sham e Ghareeba ke andhere mein Rubab s.a
Khali aghosh liye taame jigar roti hai
Akbar a.s ko fajar Shah a.s ko Asar roti hai

Shabe Ashoor wo sehme huwe pyaase bacche
Jab Kaza dalati hai unpe Nazar roti hai
Akbar a.s ko fajar Shah a.s ko Asar roti hai

hakim e sham yeh kehta tha Sakina s.a ke liye 
Qaide Tanhai mein dhalo yeh agar roti hai
Akbar a.s ko fajar Shah a.s ko Asar roti hai

Lashe Qasim a.s pe hai khamosh kardhi Binte Hussain a.s
Mujhse kehti hi nahi haan wo magar roti hai
Akbar a.s ko fajar Shah a.s ko Asar roti hai

2 comments: