Friday, June 29, 2018

Mukhtar Lyrics Noha by Safdar Maulai



Mukhtar

1. Teer talwar chalane ka hunar rakhta hoon 
aur lehje mein qayamat ka asar rakhta hoon 
zikre Haider a.s ke liye haath pe sar rakhta hoon 
qaid mein reh ke zamane ki khabar rakhta hoon 
perawe Haidare Karar a.s mujhe kehte hain 
main hoon azaad to Mukhtar mujhe kehte hain

2. Dekhti hai mujhe ulfat se duaye Abbas a.s 
Mere honton pe hamesha hai sanaye Abbas a.s 
janta hoon mujhe hasil hai razaye Abbas a.s 
himmate deta hai mujhko bhi Khudaye Abbas a.s 
mujhsa iss sare zamane mein koi sher nahi 
main hoon Mukhtar Mere naam mein bhi zer nahi

3. Ek din ghod mein Haider a.s ne uthaya tha mujhe 
pyaar kar kar ke kaleje se laghaya tha mujhe 
waqeya karbobala ka bhi sunaya tha mujhe 
maksade zeest mera kya hai bataya tha mujhe 
maksade zeest mera yeh hai ke batil na rehe 
zinda Aulade Ali a.s ka koi qatil na rahe

4. Jo tamannaye Hussain ibne Ali a.s usne kaha 
jiski aghosh mein tehzeeb pali usne kaha 
jisko khaliq se immat hai mili usne kaha 
jiske dada bhi Ali a.s khud bhi Ali a.s usne kaha 
Mere honton ke tabasam ko jila dey Mukhtar 
hurmala ka mujhe sar khat ke la day Mukhtar

5. Haan taharat bhi taharat ke taramun ke liye 
ilme kamil ke liye ilm ke kulzum ke liye 
aur Qurane Imamat ke takallum ke liye 
Labe Sajjad a.s pe halke se tabassum ke liye 
asmanon ki tanabon ko hila sakta hoon 
hurmala kya hai zamane ko mita sakta hoon

6. Qatl jab kar liya zalim ko to Mukhtar chala 
muskurata huwa Sarwar a.s ka azadar chala 
shor utha ke ghulame Shahe Abral chala 
sar liye haath mein seeda suwe Beemar chala 
bole Sajjad a.s Rasoolon ne balaye li hain 
Tujhko Maa Fatima Zahra s.a ne duaye di hain

7. Haq ki baton ke parastar ke chehre ka jalal 
nuktae Baa ke tarafdar ke chehre ka jalal 
Shere Haider a.s ke wafadar ke chehre ka jalal 
dekh kar Hazrate Mukhtar ke chehre ka jalal 
ek se dusra kehta tha ke shamat ayi 
bagho Mukhtar ki surat mein Qayamat aayi

8. bole Mukhtar isi ki hai zarorat bagho 
bagho bagho tumhein deta hoon ijazat bagho 
yeh tumhare hi bazurgon ki hai adat bagho 
chahay iss roz se tum kaba qayamat bagho 
jispe likhi hai kaza sab ki wo kirtas hoon main 
bachke jao ghe kahan khadime Abbas a.s hoon main

9. ey sharar yeh bhi to likh sare waziron se kaha 
sach hai safdar yehi kul apne safeeron se kaha 
dekh kar neza shamshir ameeron se kaha 
bar ke Mukhtar ne yeh apne mushiron se kaha 
usko jeene ka nahi haq jo wafadar nahi 
qatl kardo use jo Shah a.s ka azadar nahi

2 comments: