Wednesday, June 20, 2018

Mehdi (ajf) Zamaan Lyrics Shuja Rizvi


Aaena Mehdie Zamaan Aaena Maulae Jahaan,

1) Mujh mein taqwah nahi kaise Ammar banu
Mujh mein taqat wo nahi main bhi Mukhtar banu
Pisare Fatima (sa) Na main Misam hi bana
Karbala mein jo bane aisa kirdar banu
Maula aaj tak Aapki nusrat mein kiya kuch bhi nahi
mere daman mein ghunnahon ke siwa kuch bhi nahi
aa jaye na Yabna Nabi (saw) aa jaye na Yabna Ali (as)

2) Khab hai Busar ki tarha khab hai Qamar ka Hasham
karche mojood nahi hum mein Salman ka dam
Pisare Fatima (sa) dil mein hai Shah (as) ka gham
Apke Jad (as) ki kasam haan azadar hain hum Maula
Apto aaj bhi Mazloome bilanasir hain
Maula hum apki nusraat ke liye hazir hain
aa jaye na Yabna Nabi (saw) aa jaye na Yabna Ali (as)

3) Teri nusrat mein rahe mera dil meri zubaan
malo shohrat bhi fida yeh zameen aur makhaan
Pisare Fatima (sa) Tujhpe qurbaan ho Maa
Tu ishara jo karay Tujhpe qurbaan ho jaan
Maula bare sardosh pe lekar main kidar jaoun gha
Maula ghar Aap na aye to main mar jaoun gha
aa jaye na Yabna Nabi (saw) aa jaye na Yabna Ali (as)

4) Akhri saan talaq Apke saath hain hum
Apko dekha nai dil mein hai ek hi gham
Pisare Fatima (sa) sahibe loho qalam
main hoon majboor magar jane Maula ki qasam
Maula kuch nahi chahiye Maula mujhe duniya ki sanad
yeh meri akhri hichki hai meri akhri had
aa jaye na Yabna Nabi (saw) aa jaye na Yabna Ali (as)

5) Yun bicheay farshe aza inke kirdar bane
maein Zainab s.a ki tarha dil ko mazboot kare
Pisar e Fatima (sa) hum bhi zalim se laaray
khatm ghaibt ho agar suhay kaba bhi chale
Maula yeh tamannah hai ke yeh jam shahadat ka piye
maoun ne pala hai bacchon ko isi din ke liye
aa jaye na Yabna Nabi (saw) aa jaye na Yabna Ali (as)

6) Muntazar rehte hain hum hum hain maula ke ghulam
noukri humko mile hum karay apke kam
Pisare Fatima (sa) App par mera Salam
detay taane hain adu hai kahan tera Imam
Maula mehr jab farze ghaibat se nikal aye gha
bachke taqfeer koi bhi yeh kidar jaye gha
aa jaye na Yabna Nabi (saw) aa jaye na Yabna Ali (as)

7) Chord kar ilmo amal hum pe aya hai zawal
jhoot ghibat hai ghina rask iblis ka jaam
Pisare Fatima (sa) hum nahi rakhte khyal
kyon kamate hi nahi log yeh rizqe halal
Maula zindagi kalbe musalsal se nikal jaye ghi
Aap aa jaye to duniya yeh badal jaye ghi
aa jaye na Yabna Nabi (saw) aa jaye na Yabna Ali (as)

8) Khushk aankhon mein jamay aur pasina hai jabeen
main yahan jaan balab mere Maula hain kahin
Pisare Fatima (sa) malike arsho zameen
uska chehra bhi likha jisko dekha hi nahi
Maula main raha aaj talaq iss liye zinda Maula
ek bar Apka bas dekhloon chehra Maula
aa jaye na Yabna Nabi (saw) aa jaye na Yabna Ali (as)

9) Pyaas phir bhi na boji jab chala hai khanjar
Maa ki aghosh liye aur tarapta hai pisar
Pisare Fatima (sa) khat gaya Shah a.s ka sar
tukre tukre hai badan tukre tukre hai jigar
Maula Qasimo Akbaro Shabbir (as) ka pursa lene
aiye sham ke darbar ka badla lene
aa jaye na Yabna Nabi (saw) aa jaye na Yabna Ali (as)

10) Ek bacchi ke liye hai tamachon ki sada
chin gayi baliya bhi khoon kanon se baha
Pisare Fatima (sa) maye hain mehwe dua
sham hai giriya khuna hai Sakina s.a tanha
Maula aaj bhi qaid mein hain shahe Madina ke liye
Maula aa jaiye bas Aap Sakina s.a ke liye
aa jaye na Yabna Nabi (saw) aa jaye na Yabna Ali (as)

11) Jane dil jane jigar koi dunde kaise
jangalon mein bhi pira mujhko Maula na mile
Pisare Fatima (sa) hain kahan Maula mere
itna rota main raha khushk aanson bhi huwe
Maula neend aati hai mujhe aur na main so sakta hoon
band darwaze ko asrat se qamar takta hoon
aa jaye na Yabna Nabi (saw) aa jaye na Yabna Ali (as) 

2 comments: