Wednesday, June 7, 2017

Habib Tum Par Salam e Hussain a.s Lyrics

Habib tum par Salam e Hussain a.s
Chale aao karbobala
Akela huwa hai Hussain a.s
Habib tum par Salam e Hussain a.s
Mere Habib ey Mere dost
Ey Meri aankhon ke chain
Habib Tum Par Salam e Hussain a.s

Rajab mein Madine se nikla tha Main
Muhabbat thi jisse wo ghar chhord kar
Main sehta raha sakhtiya'n ey Habib
Rasool e khuda s.a.w ka sheher chhord kar
Chale aao karbobala
Akela huwa hai Hussain a.s
Habib tum par Salam e Hussain a.s
Mere Habib ey Mere dost
Ey Meri aankhon ke chain
Habib Tum Par Salam e Hussain a.s

Bohot mukhtasar sa hai lashkar Mera
Muqabil to Mere hai laakho adu
Wafadar bhi ho Bahadur bhi ho
Nazar dhundhti hai Tumhe chaar su
Chale aao karbobala
Akela huwa hai Hussain a.s
Habib tum par Salam e Hussain a.s
Mere Habib ey Mere dost
Ey Meri aankhon ke chain
Habib Tum Par Salam e Hussain a.s

Mere khoo'n ke pyase hai yeh ehle shar
Mere qatl ki hai yeh tayyariya'n
laeeno ki teghe bhi hai muntazir
Tumhari zarurat hai mujhko yahan
Chale aao karbobala
Akela huwa hai Hussain a.s
Habib tum par Salam e Hussain a.s
Mere Habib ey Mere dost
Ey Meri aankhon ke chain
Habib Tum Par Salam e Hussain a.s

Abhi Mera maqtal saja bhi nahi
Magar mujhpe roti hai Karbobala
Meri bekasi ka hai jo marsiya
Agar sunna chaho to ey hamnawa
Chale aao karbobala
Akela huwa hai Hussain a.s
Habib tum par Salam e Hussain a.s
Mere Habib ey Mere dost
Ey Meri aankhon ke chain
Habib Tum Par Salam e Hussain a.s

Yeh tehreer padhte hi nikle Habib
To rahwaar roka sare Karbala
Kiya aake Sheh a.s ko salam e wafa
Habib e Hazi se yeh Sheh a.s ne kaha
Acha kiya ey Habib tum yahan aagaye
Mere Habib, ey Mere dost,
Ey Meri aankhon ke chain
Habib Tum Par Salam e Hussain a.s

Yeh dekho masaib yeh dekho sitam
Kahan Mere khaime Kahan alqama
Jo dil par hai guzri sunaounga Main
Jo Tum aa gaye to dilasa mila
Acha kiya ey Habib Tum yahan aagaye

Habib acha kiya Tum Mera khat parh kar
chale aye Tumhare admi tum ko karay ghe jab
zameen mein dafan to Hum ko bhi
zameen mein ek ghosha mil hi jaye gha
Tumhare waste beyyat ka koi khat nahi aya
magar kufa ka hakim Tum se agar beyyat
talab karta faqiyae waqt ho Tum iss
nazakhat ko samajhte ho yaqeenan
beyyate fasiq se Tum inkar kar dete
Habib itna to Tum bhi jante ho waqt
kaisa hai Hum in se pehle pohnche the
Hamara haq zyada tha magar jab un
ki sid dekhi to hum chup chaap hat ghe
zara dekho to kitni door tak peli hain
yeh fojey yeh chand afrad ya ke sirf
Mere khoon ke pyaase hain yahan se
koun zinda bach kar jaye gha Mera
beemar Beta, Aurein ya Meri ek Beti ke
khoon roti Behne magar yeh maar ke
zinda rehe gha rehti duniya tak
Tumhara naam bhi tareekh ke safat
par ho gha isi mitti mein Hum Tum saath soighe
Habib acha kiya Tum Mera khat parh ke chale aye

Yeh mazhar, yeh irfan, yeh matami
Hai tarteeb mein karwaan e aza
Yeh sab hai Habib e Shahe Mashraqain
Sare hashr bolenge Shahe Huda
Habib Tum Par Salam e Hussain a.s

1 comment: