Sunday, August 13, 2017

Di thi Amma Ne Jo Poshak Lyrics


Di thi Amma ne jo Poshaak wo laa do Zainab s.a
Apne Hathon se Kafan Mujhko pinhado Zainab s.a

Aaj maqtal mein faqat baat Tumhari ho ghi
Abhi Amma se mulaqaat Hamari ho ghi
Koi Paighaam agar hai to suna do Zainab s.a
Apne Hathon se Kafan Mujhko pinhado Zainab s.a

Di thi Amma ne jo Poshaak wo laa do Zainab s.a
Apne Hathon se Kafan Mujhko pinhado Zainab s.a

Haath paband rasan Behna Tumhare honghe
Mujhko reh reh ke kheyaal ata hai lashe se Mere
Teer kis tarha Nikalo ghi Bata do Zainab s.a
Apne Hathon se Kafan Mujhko pinhado Zainab s.a

Di thi Amma ne jo Poshaak wo laa do Zainab s.a
Apne Hathon se Kafan Mujhko pinhado Zainab s.a

Mere laashe ki rehe ghi Tumhe pehchaan Behen
Chaak kardo Mere kurte ka girehbaan Behen
Koi lute na ise aisa bana do Zainab s.a
Apne Hathon se Kafan Mujhko pinhado Zainab s.a

Di thi Amma ne jo Poshaak wo laa do Zainab s.a
Apne Hathon se Kafan Mujhko pinhado Zainab s.a

Samne Apne Sakina s.a se utarwalo ghohar
Abhi kuch der mein lut jaye gha Mazloom ka ghar
Yeh Amanat kisi ghoshe mein chupa dho Zainab s.a
Apne Hathon se Kafan Mujhko pinhado Zainab s.a

Di thi Amma ne jo Poshaak wo laa do Zainab s.a
Apne Hathon se Kafan Mujhko pinhado Zainab s.a

Bahar aane ko na khaime se Main Kehta Tum ko
Hote Abbas a.s to takleef na Deta Tum ko
Banke Abbas a.s Mujhe zee pe bithado Zainab s.a
Apne Hathon se Kafan Mujhko pinhado Zainab s.a

Di thi Amma ne jo Poshaak wo laa do Zainab s.a
Apne Hathon se Kafan Mujhko pinhado Zainab s.a

Qaid khane ki sambhalo yeh Amanat Bibi
Ghod mein lo Ise Mazloom ho rukhsat Bibi
Mera daman Meri Bacchi se churado Zainab s.a
Apne Hathon se Kafan Mujhko pinhado Zainab s.a

Di thi Amma ne jo Poshaak wo laa do Zainab s.a
Apne Hathon se Kafan Mujhko pinhado Zainab s.a

Jab se Akbar a.s gaye binayi bhi Aankhon ki geyi
Laake de do Ali Asghar a.s ki nishani koi
Kurta Besheer ka aankhon se laghado Zainab s.a
Apne Hathon se Kafan Mujhko pinhado Zainab s.a

Di thi Amma ne jo Poshaak wo laa do Zainab s.a
Apne Hathon se Kafan Mujhko pinhado Zainab s.a

Ghar se Shabbir a.s Janaze ki tarha se Nikle
Sab hi rote they takallum dare Khaima pe kharay
Sheh a.s ne jis dam kaha marne ki riza do Zainab s.a
Apne Hathon se Kafan Mujhko pinhado Zainab

Di thi Amma ne jo Poshaak wo laa do Zainab s.a
Apne Hathon se Kafan Mujhko pinhado Zainab s.a

Friday, June 16, 2017

Paani Masooma s.a Ne Manga To Tamachay Khaye Lyrics


Haye Sakina s.a
Haaye Mazlooma Haye Sakina s.a 
Haye Masooma s.a Haye Sakina s.a
Haye Sakina s.a

Paani Masooma s.a Ne Maanga To Tamachay Khaye
Roke Baba Ko Bulaya To Tamachay Khaye

Chinne Aya Jo Zainab s.a Ki Rida Bacchi Ne 
Shimr l.a Ko Rokhna Chaha To Tamachay Khaye
Paani Masooma s.a Ne Maanga To Tamachay Khaye

Jalte Khaime Se Nikalte Huwe Shehzaadi s.a Ne 
Rasta Pucha Najaf Ka To Tamachay Khaye
Paani Masooma s.a Ne Maanga To Tamachay Khaye

Dhundti Thi Wo Tamacho'n Ki Shikayat Ke Liye 
Mil Gaya Baap Ka Lasha To Tamachay Khaye 
Paani Masooma s.a Ne Maanga To Tamachay Khaye


Ghir Gayi Thi Wo Kahi Chalte Huwe Naake Se
Shimr l.a Jab Dhund Ke Laya To Tamachay Khaye
Paani Masooma s.a Ne Maanga To Tamachay Khaye

Apne Chehre Ko Tamacho'n Se Bachane Ke Liye 
Nanhe Haatho'n Se Chupaya To Tamachay Khaye
Paani Masooma s.a Ne Maanga To Tamachay Khaye

Yeh To Acha Hi Huwa Dil Mein Kaha Karti Thi 
Naa Rahe Jab Mere Baba To Tamachay Khaye
Paani Masooma s.a Ne Maanga To Tamachay Khaye

Khaye Zainab s.a Ne Kayi Durre Bhatije Ke Liye 
Isne Baqir a.s Ko Bachaya To Tamachay Khaye
Paani Masooma s.a Ne Maanga To Tamachay Khaye

Kufao Sham Ke Bazaro'n Mein Chalte Chalte
Thak Ke Bethi Jo Sakina s.a To Tamachay Khaye
Paani Masooma s.a Ne Maanga To Tamachay Khaye

Mir Sajjad Sakina s.a Bhi Hai Zahra s.a Ki Tarha
Ho Gayi Jab Yeh Yateema To Tamachay Khaye
Paani Masooma s.a Ne Maanga To Tamachay Khaye

Friday, June 9, 2017

Akbar ko Fajar Shah ko Asar Roti Hai Lyrics


Akbar a.s ko fajar Shah a.s ko Asar roti hai
Zainab s.a ko magar sham o sahar roti hai

Mila azaan ko muazzan na baad Akbar a.s ke
Lehja Akbar a.s ko Azanon ki satar roti hai
Akbar a.s ko fajar Shah a.s ko Asar roti hai

Kyon na Akbar a.s ki jawani pe jawani roye
Jispe Hasnain a.s ke Nana s.a.w ki khabar roti hai
Akbar a.s ko fajar Shah a.s ko Asar roti hai

Haye wo Sham e Ghareeba ke andhere mein Rubab s.a
Khali aghosh liye taame jigar roti hai
Akbar a.s ko fajar Shah a.s ko Asar roti hai

Shabe Ashoor wo sehme huwe pyaase bacche
Jab Kaza dalati hai unpe Nazar roti hai
Akbar a.s ko fajar Shah a.s ko Asar roti hai

hakim e sham yeh kehta tha Sakina s.a ke liye 
Qaide Tanhai mein dhalo yeh agar roti hai
Akbar a.s ko fajar Shah a.s ko Asar roti hai

Lashe Qasim a.s pe hai khamosh kardhi Binte Hussain a.s
Mujhse kehti hi nahi haan wo magar roti hai
Akbar a.s ko fajar Shah a.s ko Asar roti hai

Wednesday, June 7, 2017

Habib Tum Par Salam e Hussain a.s Lyrics

Habib tum par Salam e Hussain a.s
Chale aao karbobala
Akela huwa hai Hussain a.s
Habib tum par Salam e Hussain a.s
Mere Habib ey Mere dost
Ey Meri aankhon ke chain
Habib Tum Par Salam e Hussain a.s

Rajab mein Madine se nikla tha Main
Muhabbat thi jisse wo ghar chhord kar
Main sehta raha sakhtiya'n ey Habib
Rasool e khuda s.a.w ka sheher chhord kar
Chale aao karbobala
Akela huwa hai Hussain a.s
Habib tum par Salam e Hussain a.s
Mere Habib ey Mere dost
Ey Meri aankhon ke chain
Habib Tum Par Salam e Hussain a.s

Bohot mukhtasar sa hai lashkar Mera
Muqabil to Mere hai laakho adu
Wafadar bhi ho Bahadur bhi ho
Nazar dhundhti hai Tumhe chaar su
Chale aao karbobala
Akela huwa hai Hussain a.s
Habib tum par Salam e Hussain a.s
Mere Habib ey Mere dost
Ey Meri aankhon ke chain
Habib Tum Par Salam e Hussain a.s

Mere khoo'n ke pyase hai yeh ehle shar
Mere qatl ki hai yeh tayyariya'n
laeeno ki teghe bhi hai muntazir
Tumhari zarurat hai mujhko yahan
Chale aao karbobala
Akela huwa hai Hussain a.s
Habib tum par Salam e Hussain a.s
Mere Habib ey Mere dost
Ey Meri aankhon ke chain
Habib Tum Par Salam e Hussain a.s

Abhi Mera maqtal saja bhi nahi
Magar mujhpe roti hai Karbobala
Meri bekasi ka hai jo marsiya
Agar sunna chaho to ey hamnawa
Chale aao karbobala
Akela huwa hai Hussain a.s
Habib tum par Salam e Hussain a.s
Mere Habib ey Mere dost
Ey Meri aankhon ke chain
Habib Tum Par Salam e Hussain a.s

Yeh tehreer padhte hi nikle Habib
To rahwaar roka sare Karbala
Kiya aake Sheh a.s ko salam e wafa
Habib e Hazi se yeh Sheh a.s ne kaha
Acha kiya ey Habib tum yahan aagaye
Mere Habib, ey Mere dost,
Ey Meri aankhon ke chain
Habib Tum Par Salam e Hussain a.s

Yeh dekho masaib yeh dekho sitam
Kahan Mere khaime Kahan alqama
Jo dil par hai guzri sunaounga Main
Jo Tum aa gaye to dilasa mila
Acha kiya ey Habib Tum yahan aagaye

Habib acha kiya Tum Mera khat parh kar
chale aye Tumhare admi tum ko karay ghe jab
zameen mein dafan to Hum ko bhi
zameen mein ek ghosha mil hi jaye gha
Tumhare waste beyyat ka koi khat nahi aya
magar kufa ka hakim Tum se agar beyyat
talab karta faqiyae waqt ho Tum iss
nazakhat ko samajhte ho yaqeenan
beyyate fasiq se Tum inkar kar dete
Habib itna to Tum bhi jante ho waqt
kaisa hai Hum in se pehle pohnche the
Hamara haq zyada tha magar jab un
ki sid dekhi to hum chup chaap hat ghe
zara dekho to kitni door tak peli hain
yeh fojey yeh chand afrad ya ke sirf
Mere khoon ke pyaase hain yahan se
koun zinda bach kar jaye gha Mera
beemar Beta, Aurein ya Meri ek Beti ke
khoon roti Behne magar yeh maar ke
zinda rehe gha rehti duniya tak
Tumhara naam bhi tareekh ke safat
par ho gha isi mitti mein Hum Tum saath soighe
Habib acha kiya Tum Mera khat parh ke chale aye

Yeh mazhar, yeh irfan, yeh matami
Hai tarteeb mein karwaan e aza
Yeh sab hai Habib e Shahe Mashraqain
Sare hashr bolenge Shahe Huda
Habib Tum Par Salam e Hussain a.s

Wednesday, May 17, 2017

Lorian Wala Bhira Lyrics


Lorian wala bhira, jal giyae jhoola Tenda
Shaam Waindi Paiyan Asghar a.s
Veer wey hunr alwida

Deva'n lut da haal kya raas ayi nhi karbala
Shaam waindi paiyan Asghar a.s
veer wey hunr alwida alwida

Musaib Band

Jeri Andi ayi Musafir Bhein Ujri da Akheeri hayi salam Asghar a.s 
main Qaidanr Be'watan jo haan Turi wendi haan sham Asghar a.s 
Tendi tre dhee di tas Mekun Na bhul si roze mehshar tayi 
Mukaa choreya hey zalim ne Menda sara araam Asghar a.s 
Tende jhoole de koj tukre Tenda chola tendi lori 
Siwa ende bacha kuj nai Ghawa Qaidi Imam a.s Asghar a.s

1. Dekh hath azad nai jholi vi abaad nai
Bhainr te Maa kol bachiya kujh vi Tenday baad nai
Ujree koon ey taan dasaa kiwein Jeesan Tain siwa
Shaam Waindi Paiyan Asghar a.s 
Veer wey hunr alwida

2. Kya dasaan Besheer wey Apni Main taqdeer wey
bahoon maikun Babay da qatil jhirkaan daindai Veer wey
Hai Teri maqtal gawah kujh vi nai Sada riya
Shaam Waindi Paiyan Asghar a.s 
Veer wey hunr alwida 

3. Teer jhal ke sam gaiyae de ke wakhra gham giyae
Veer malkal mout toon vi toon kara matam giyae
Waikh rondi rahi kaza akhri tendi ada
Shaam Waindi Paiyan Asghar a.s 
Veer wey hunr alwida

4. Phul jiya Tenda badan hai jo mohtaj e kafan
Waqt honda bakht honda kar ke Main waindi dafan
Piyoo wangu Tu benava Maa wangu Main be rida
Shaam Waindi Paiyan Asghar a.s 
Veer wey hunr alwida

5. Lori sunr Hamsheer ton ujri Maa dalgeer ton
Raj handawain Veer shala Veer di jageer toon
Haan khari Daindi dua hath Main rasiyan nal cha
Shaam Waindi Paiyan Asghar a.s 
Veer wey hunr alwida

6. Dukh da deen dhalna nahi main tha wal walna nahi
Oth kabar Maindi dhi jaa hai diva jaith balna nahi
Bhainr qurban akhiya zakhmi gal chum veer da
Shaam Waindi Paiyan Asghar a.s 
Veer wey hunr alwida 

Sunday, May 14, 2017

Teri Zahra s.a Pe Musibat Lyrics Mir Hasan Mir


Haye Seyyada s.a
Subbat alayya masaiban lau annaha, subbat alal ayyami sirna layaliha
Baba Mere Baba 
Teri Zahra s.a Pe Musibat Ki Ghadi Hai
Haye Baba
Teri Zahra s.a Pe Musibat Ki Ghadi Hai

Kaise Darwaza Hataoun
Kaise Mohsin a.s Ko Bachaoun
Saan Seene Mein Rukhi Hai

Teri Zahra s.a Pe Musibat Ki Ghadi Hai
Haye Baba
Teri Zahra s.a Pe Musibat Ki Ghadi Hai

Haath Mein Jiske Mera Haath Diya Tha Tumne
Keh ke Man kunto Jise Maula Kaha Tha Tumne
Maine Har Mod Pe  Baba Sath Uska Hai Nibaya
Haan Mera Jurm Yehi hai

Teri Zahra s.a Pe Musibat Ki Ghadi Hai
Haye Baba
Teri Zahra s.a Pe Musibat Ki Ghadi Hai

Teri Ummat Ne Bana Di Hai Yeh Halat Baba
Koi Pasli Bhi Nahi Meri Salamat Baba
Saans Leti Hoon Main Jis Dam
Ghutne Lagta Hai Mera Dam
Sirf Marne Ki Kami Hai

Teri Zahra s.a Pe Musibat Ki Ghadi Hai
Haye Baba
Teri Zahra s.a Pe Musibat Ki Ghadi Hai

Kabhi Darbar Mein Peshi Ko Bulate Hai Hamein
Kabhi Darwaze Pe Aa Aake Satate Hai Hamein
Mere Yeh Phool Se Bacche Puchte Hai Yehi Mujhse
Kya Khata Ham Se Hui Hai

Teri Zahra s.a Pe Musibat Ki Ghadi Hai
Haye Baba
Teri Zahra s.a Pe Musibat Ki Ghadi Hai

Sharm Aati Hai Bhala Tum Ko Bataoun Kaise
Yeh Tamachon Ke Nisha Tum Ko Dikhaoun Kaise
Tum Na Pehchan Sakon Ghe Dekh Kar Mujhko Kaho Ghe
Kya Meri Zahra s.a Yehi Hai

Teri Zahra s.a Pe Musibat Ki Ghadi Hai
Haye Baba
Teri Zahra s.a Pe Musibat Ki Ghadi Hai

Yeh Aziyat Yeh Khamoshi Nahi Dekhi Jaati
Mujhse Tanahi Ali a.s Ki Nahi Dekhi Jati
Tera Paigam Sunane, Haq Wilayat Ka Batane
Zahra s.a Ghar Ghar mein geyi Hai

Teri Zahra s.a Pe Musibat Ki Ghadi Hai
Haye Baba
Teri Zahra s.a Pe Musibat Ki Ghadi Hai

Aap Ke Sog Min Tarikh Na Dekha Gaya Ghar
Aag Darwaze Pe Ummat Ne Lagha Di Aa kar
Baba Jaan Baad Tumhare Dekhiye Ghar Mein Hamare
Roshni Kaise Hui Hai

Teri Zahra s.a Pe Musibat Ki Ghadi Hai
Haye Baba
Teri Zahra s.a Pe Musibat Ki Ghadi Hai

Kabre Zahra s.a Se Takallum Yeh Sada Aati Hai
Kitni Sadioun Se Meri Kabr Pe Veerani Hai
Phool Turbat Pe Chadhane Ik Diya Laa Ke Jalane
Kya Madine Mein Koi Hai

Teri Zahra s.a Pe Musibat Ki Ghadi Hai
Haye Baba

Teri Zahra s.a Pe Musibat Ki Ghadi Hai

Saturday, May 13, 2017

Ali Ali Haider Mola Lyrics Farhan Ali Waris


Ali a.s Ali a.s Ali a.s Ali a.s
Sadioun ke intezar ka kaisa sila diya
Dono jahaan ka sar mere janib jhuka diya
13 Rajab Ali a.s se bola Khuda ka ghar
Qibla mujhe to Apne a.s Kaba bana diya
Ali a.s Ali a.s Ali a.s Ali a.s 
Ali a.s Ali a.s Moula Haider Moula a.s

Aye Ali a.s Kanae Kaba yeh pukara
Mil ke laghao sabhi Haideri Nara
Ali a.s Ali a.s Ali a.s Ali a.s 
Ali a.s Ali a.s Haider Moula a.s

Dekhne manzar yeh Nabi s.a.w aur Wali aye hain 
Ghar hai yeh Allah ka aur uss mein Ali a.s aye hain 
Kaisa haseen aaj hai kabay ka nazara 
Kis ko mila wasf yeh duniya mein dubara
Ali a.s Ali a.s Ali a.s Ali a.s 
Ali a.s Ali a.s Haider Moula a.s

Zebe musalla the Nabi s.a.w karte the haq se dua 
Koun kufe Fatima Zahra s.a hai Khudaya bata 
Kaisa diya khaliqe Akbar ne ishara 
Aya dare Haidere Safdar a.s pe sitara 
Ali a.s Ali a.s Ali a.s Ali a.s 
Ali a.s Ali a.s Haider Moula a.s

Raton ko Ali a.s jaghay to Khaliq ne yeh socha 
Farshe shabe hijrat ko sajana hi paray gha 
Khatre mein na par jaye mera wasfe Khudayi 
Ik shab ke liye isko sulana hi paray gha 
Waqeya yeh bhi shabe hijrat ke sabab ho geya 
Wasfe Khudayi ko bachana tha Ali a.s so geya 
Bistare Ahmed s.a.w ke kareeb pohncha bechara 
Lashkare kufar ka sardar pukara
Ali a.s Ali a.s Ali a.s Ali a.s 
Ali a.s Ali a.s Haider Moula a.s

Jispe mere Moula a.s ne ik ghaiz mein dhali nazar 
Uthta nahi duniya se uth jata hai wo ahle shar 
Bughze Ali a.s deta hai bande ko khasara 
Ishqe Ali a.s ne hi muqaddar ko sawara
Ali a.s Ali a.s Ali a.s Ali a.s 
Ali a.s Ali a.s Haider Moula a.s

Leke Muhammad s.a.w se Alam jaate rehe surma 
Guzre kahin roz magar fatah na khaiber huwa 
Mil geya mushkil mein Muhammad s.a.w ko sahara 
Nade Ali a.s parh ke Muhammad s.a.w ne pukara
Ali a.s Ali a.s Ali a.s Ali a.s 
Ali a.s Ali a.s Haider Moula a.s

Mazhar o farhan ka ailaan zamana sunay 
Haidare Karrar a.s ki midhat mein tarana sunay 
Kehta hai har aan yeh emaan hamara 
Tujhsa banaya hi nahi Rab ne dubara 
Ali a.s Ali a.s Ali a.s Ali a.s 
Ali a.s Ali a.s Haider Moula a.s