1. Teeron bhari qaba thi, aur khoon bhari rida thi
Jo Shaam se bacha tha Zainab s.a ne rakh diya hai
Zahra s.a teri lehad par
2. Do pehar dhal rahay hain, khaiyam jaal rahay hain
Tasveer Karbala ki koi bana raha hai
Zahra s.a teri lehad par.
3. Zindaan ki guthan se, haar laash bekafan se
Abid a.s ne jo sambhala, woh aansoo ghir parha hai
Zahra s.a teri lehad par.
4. Kya yeh daleel kam hai, iss ki kamar mein kham hai
Kayi'n baar aasmaan ne, sajda adaa kiya hai
Zahra s.a teri lehad paar.
5. Sun kar hawa bhi royi khud Karbala bhi royi
Khaake Rahay Najaf ne jo marsiya parha hai
Zahra s.a teri lehad par.
6.Tere gham ki chand satrain, kam aayegi lehad mein
Bakshish Tauqeer ki hai, yeh noha jo likha hai
Zahra s.a teri lehad par.
Nazim Party Noha
ReplyDeleteHi Dear Sir,
ReplyDeleteYou are doing good work, I like your work. Its humble request please keeping updating your site regularly.
Thanks
If You Are Found of Dialogue Music Then Visit Here.
Noha Ringtones
Farhan Ali Waris New Noha 2021 Complete List & Lyrics in Urdu
ReplyDelete