Tuesday, June 19, 2018

Qismat Main Jo Nahi Hai Lyrics Ali Hamza



Ghunahgar ho kaisa nijaat milti hai
Mere Hussain (as) ki Allah se baat milti hai
Bata gaya hai Rahib jahan ko iss dar se
Naseeb mein jo na ho wo khairaat milti hai

Loho qalam ke Malik Zahra (sa) ke chain se
Kismat mein jo nahi hai wo mango Hussain (as) se

1) Jis roz aye duniya mein wo fakhre Kibriya
Futras ko dardaeel ko dhi kisne thi shifa
Pucho Nabi (saw) se Fatahe Badro Hunain se
Kismat mein jo nahi hai wo mango Hussain (as) se

2) Shabbir (as) wo hai jiska makhrooz hai Khuda
Rahib ki tarha manglo hai yeh dare sakha
Uss Naaz Ambiya (as) se uss deen ke Zain se
Kismat mein jo nahi hai wo Mango Hussain (as) se

3) Deene Nabi (saw) ke sar se mushkil jo taal day
Rahay Khuda mein wo jo Asghar (sa) sa war day
Khoone Ali (as) Muhammad (saw) ke noore ain se
Kismat mein jo nahi hai wo Mango Hussian (as) se

4) Kya hai basaat jag mein khursheed ki bala
Karte ataa hain mujhko wo Shahe Karbala
Likhne ko roz milta hai Unki Nalain se
Kismat mein jo nahi hai wo Mango Hussain (as) se..

6 comments: